zabt-e-dil se kaam liya hai
zabt-e-dil se kaam liyā hai
'ishq meñ bhī ārām liyā hai
pal pal sub.h-o-shām liyā hai
ham ne tumhārā naam liyā hai
shukr kī jā hai girte paḌte
terā dāman thaam liyā hai
sub.h huī kuchh aur farozāñ
taḌke kis kā naam liyā hai
terī āñkheñ yaad aa.ī haiñ
jab hāthoñ meñ jaam liyā hai
is kī shāhid gardish-e-daurāñ
maiñ ne kab ārām liyā hai
aur bhī haiñ dil-chor jahāñ meñ
ham ne tumhārā naam liyā hai
kyoñ lī haiñ hāthoñ par zulfeñ
kyoñ hāthoñ meñ daam liyā hai
ḳhālī haath chale duniyā se
ek ḳhayāl-e-ḳhām liyā hai
bande haiñ be-dām tumhāre
ham ne koī daam liyā hai
ruk sī ga.ī hai gardish-e-daurāñ
kis kā dāman thaam liyā hai
us kī har duzdīda nazar se
ham ne ik paiġhām liyā hai
duniyā kis ke kaam aa.ī hai
kis ne is se kaam liyā hai
tum bhī haath meñ thaam lo ḳhanjar
ham ne kaleja thaam liyā hai
haa.e 'amar' ye 'ishq-e-āḳhir
muft kā hī ilzām liyā hai
zabt-e-dil se kaam liya hai
'ishq mein bhi aaram liya hai
pal pal subh-o-sham liya hai
hum ne tumhaara nam liya hai
shukr ki ja hai girte paDte
tera daman tham liya hai
subh hui kuchh aur farozan
taDke kis ka nam liya hai
teri aankhen yaad aai hain
jab hathon mein jam liya hai
is ki shahid gardish-e-dauran
main ne kab aaram liya hai
aur bhi hain dil-chor jahan mein
hum ne tumhaara nam liya hai
kyon li hain hathon par zulfen
kyon hathon mein dam liya hai
KHali hath chale duniya se
ek KHayal-e-KHam liya hai
bande hain be-dam tumhaare
hum ne koi dam liya hai
ruk si gai hai gardish-e-dauran
kis ka daman tham liya hai
us ki har duzdida nazar se
hum ne ek paigham liya hai
duniya kis ke kaam aai hai
kis ne is se kaam liya hai
tum bhi hath mein tham lo KHanjar
hum ne kaleja tham liya hai
hae 'amar' ye 'ishq-e-aKHir
muft ka hi ilzam liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.