zabt-e-fughan baja sahi gham ke asar ko kya karun
zabt-e-fuġhāñ bajā sahī ġham ke asar ko kyā karūñ
nāla-e-shab ko kyā karūñ āh-e-sahar ko kyā karūñ
sub.h-e-shab-e-firāq bhī shām-e-alam se kam nahīñ
jis meñ na koī nuur ho aisī sahar ko kyā karūñ
fitrat-e-ishq ne mujhe daulat-e-dard baḳhsh dī
tā.at-e-shab se kaam kyā zikr-e-sahar ko kyā karūñ
sub.h-e-azal kī raushnī merī nazar meñ hai abhī
nūr-e-sahar to aap haiñ nūr-e-sahar ko kyā karūñ
shām-e-alam kī zulmateñ kaafī haiñ mere vāste
maiñ to balā-nasīb huuñ le ke sahar ko kyā karūñ
sub.h meñ ab kahāñ vo husn shaam meñ ab kahāñ vo kaif
ālam-e-intizār ke shām-o-sahar ko kyā karūñ
aish meñ bhī ḳhayāl-e-ġham māne-e-zauq-o-shauq hai
ai shab-e-vasl-e-dil-navāz vahm-e-sahar ko kyā karūñ
mere nasīb meñ nahīñ jalva-e-sub.h-e-ārzū
'kaukab'-e-shām-e-ġham huuñ maiñ najm-e-sahar ko kyā karūñ
zabt-e-fughan baja sahi gham ke asar ko kya karun
nala-e-shab ko kya karun aah-e-sahar ko kya karun
subh-e-shab-e-firaq bhi sham-e-alam se kam nahin
jis mein na koi nur ho aisi sahar ko kya karun
fitrat-e-ishq ne mujhe daulat-e-dard baKHsh di
taat-e-shab se kaam kya zikr-e-sahar ko kya karun
subh-e-azal ki raushni meri nazar mein hai abhi
nur-e-sahar to aap hain nur-e-sahar ko kya karun
sham-e-alam ki zulmaten kafi hain mere waste
main to bala-nasib hun le ke sahar ko kya karun
subh mein ab kahan wo husn sham mein ab kahan wo kaif
aalam-e-intizar ke sham-o-sahar ko kya karun
aish mein bhi KHayal-e-gham mane-e-zauq-o-shauq hai
ai shab-e-wasl-e-dil-nawaz wahm-e-sahar ko kya karun
mere nasib mein nahin jalwa-e-subh-e-arzu
'kaukab'-e-sham-e-gham hun main najm-e-sahar ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.