zabt-e-gham hai be-qarari mein qarar aane ka nam
zabt-e-ġham hai be-qarārī meñ qarār aane kā naam
yaañ vafā kā naam hai jaañ se guzar jaane kā naam
sham.a ḳhud jaltī hai mahfil meñ ujāle ke liye
jāñ-nisārī meñ sivā hai phir bhī parvāne kā naam
gāmzan haiñ jo junūñ kī raah par un ke liye
zindagī hai bas isī dil meñ samā jaane kā naam
koī dīvāna yahāñ thā koī farzāna magar
lauh-e-hastī par na dīvāne na farzāne kā naam
yuuñ masāfat meñ sarāboñ kā rahā hai sāmnā
lag rahā hai ab haqīqat meñ bhī afsāne kā naam
naam kī ham jin ke maalā jap rahe the raat din
un ke lab pe thā musalsal ek begāne kā naam
bhaTke bhaTke āj-kal 'ādil' haiñ saare rahnumā
jaise manzil rakh liyā rasta bhaTak jaane kā naam
zabt-e-gham hai be-qarari mein qarar aane ka nam
yan wafa ka nam hai jaan se guzar jaane ka nam
shama KHud jalti hai mahfil mein ujale ke liye
jaan-nisari mein siwa hai phir bhi parwane ka nam
gamzan hain jo junun ki rah par un ke liye
zindagi hai bas isi dil mein sama jaane ka nam
koi diwana yahan tha koi farzana magar
lauh-e-hasti par na diwane na farzane ka nam
yun masafat mein sarabon ka raha hai samna
lag raha hai ab haqiqat mein bhi afsane ka nam
nam ki hum jin ke mala jap rahe the raat din
un ke lab pe tha musalsal ek begane ka nam
bhaTke bhaTke aaj-kal 'adil' hain sare rahnuma
jaise manzil rakh liya rasta bhaTak jaane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.