zabt-e-ulfat ka yahi hum ko sila mil jae
zabt-e-ulfat kā yahī ham ko silā mil jaa.e
dasht meñ aur koī ābla-pā mil jaa.e
āgahī aur ka.ī naqsh banā saktī hai
tum jo insān ko DhūñDo to ḳhudā mil jaa.e
yahī behtar hai ki ḳhud raah meñ gum ho jaa.eñ
is se pahle ki koī rāh-numā mil jaa.e
aao zanjīr kī jhankār pe ham raqs kareñ
kyā ta.ajjub jo yūñhī jins-e-vafā mil jaa.e
isī dhun meñ to ham āvāra phirā karte haiñ
kahīñ shāyad tire āñchal kī havā mil jaa.e
ab tirā dhyān hai yuuñ jaise añdherī shab meñ
ittifāqan koī miTTī kā diyā mil jaa.e
zabt-e-ulfat ka yahi hum ko sila mil jae
dasht mein aur koi aabla-pa mil jae
aagahi aur kai naqsh bana sakti hai
tum jo insan ko DhunDo to KHuda mil jae
yahi behtar hai ki KHud rah mein gum ho jaen
is se pahle ki koi rah-numa mil jae
aao zanjir ki jhankar pe hum raqs karen
kya tajjub jo yunhi jins-e-wafa mil jae
isi dhun mein to hum aawara phira karte hain
kahin shayad tere aanchal ki hawa mil jae
ab tera dhyan hai yun jaise andheri shab mein
ittifaqan koi miTTi ka diya mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.