zabt gar had se baDha to zalzala bhi aaega
zabt gar had se baḌhā to zalzala bhī aa.egā
tere mere darmiyāñ phir fāsla bhī aa.egā
aisā lagtā hai ki ab to qāfile ko lūTne
rāhzan bhī ā.eñge aur rahnumā bhī aa.egā
le ke ḳhālī aañkh kā mashkīza mat sahrā meñ jā
is safar meñ tishnagī kā marhala bhī aa.egā
hijr kā mausam jab aa.egā tirī yādeñ liye
dil bhī taḌpegā taḌapne kā maza bhī aa.egā
zulm agar jaarī rahā to dekhnā phir ek din
ḳhuun uglegī zamīñ ye marhala bhī aa.egā
dekh 'tāsīr' us ke aane ke na itne ḳhvāb dekh
aañkh ke hisse meñ varna ratjagā bhī aa.egā
zabt gar had se baDha to zalzala bhi aaega
tere mere darmiyan phir fasla bhi aaega
aisa lagta hai ki ab to qafile ko luTne
rahzan bhi aaenge aur rahnuma bhi aaega
le ke KHali aankh ka mashkiza mat sahra mein ja
is safar mein tishnagi ka marhala bhi aaega
hijr ka mausam jab aaega teri yaaden liye
dil bhi taDpega taDapne ka maza bhi aaega
zulm agar jari raha to dekhna phir ek din
KHun uglegi zamin ye marhala bhi aaega
dekh 'tasir' us ke aane ke na itne KHwab dekh
aankh ke hisse mein warna ratjaga bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.