zabt ka aise imtihan na le
zabt kā aise imtihān na le
ai mirī jaan merī jaan na le
saañs ruktā hai tere rukne se
vaqfe bātoñ ke darmiyān na le
tark-e-ulfat kā kahte Dartā huuñ
vo kahīñ merī baat maan na le
ye adālat nahīñ mohabbat hai
tū mirā halfiya bayān na le
kar mukammal safar tavakkul se
le safīna to bādbān na le
tū kahāñ aur janāb-e-qais kahāñ
naam un kā ai bad-zabān na le
vasl aur hijr se nikal 'ḳhālid'
koī lamha kisī se daan na le
zabt ka aise imtihan na le
ai meri jaan meri jaan na le
sans rukta hai tere rukne se
waqfe baaton ke darmiyan na le
tark-e-ulfat ka kahte Darta hun
wo kahin meri baat man na le
ye adalat nahin mohabbat hai
tu mera halfiya bayan na le
kar mukammal safar tawakkul se
le safina to baadban na le
tu kahan aur janab-e-qais kahan
nam un ka ai bad-zaban na le
wasl aur hijr se nikal 'KHalid'
koi lamha kisi se dan na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.