zabt ka hausla baqi na shakebai hai
zabt kā hausla baaqī na shakebā.ī hai
tirī chāhat mujhe kis moḌ pe le aa.ī hai
be-sabab bhī to hue ham na asīr-e-gesū
dil ne bahkāyā hai yā laġhzish-e-bīnā.ī hai
dil kī duniyā meñ huī phir koī halchal paidā
is qadar rāh-e-vafā aaj jo gahnā.ī hai
koī bhī to na shab-e-tār meñ kaam aaya mire
kahne ko chāñd sitāroñ se shanāsā.ī hai
saañs lene pe hai pābandī duā jiine kī
ai masīhā ye bhalā kaisī masīhā.ī hai
apnī hī zaat meñ ik hashr bapā rahtā hai
dil tamāshā hai mirī aañkh tamāshā.ī hai
tirī jānib hī sadā rakhtī hai maa.il mujh ko
koī aisī tire atvār meñ gahrā.ī hai
un ke kūche se gurezāñ to nahīñ huuñ 'sā.ir'
roz kā milnā bhī to bā.is-e-rusvā.ī hai
zabt ka hausla baqi na shakebai hai
teri chahat mujhe kis moD pe le aai hai
be-sabab bhi to hue hum na asir-e-gesu
dil ne bahkaya hai ya laghzish-e-binai hai
dil ki duniya mein hui phir koi halchal paida
is qadar rah-e-wafa aaj jo gahnai hai
koi bhi to na shab-e-tar mein kaam aaya mere
kahne ko chand sitaron se shanasai hai
sans lene pe hai pabandi dua jine ki
ai masiha ye bhala kaisi masihai hai
apni hi zat mein ek hashr bapa rahta hai
dil tamasha hai meri aankh tamashai hai
teri jaanib hi sada rakhti hai mail mujh ko
koi aisi tere atwar mein gahrai hai
un ke kuche se gurezan to nahin hun 'sair'
roz ka milna bhi to bais-e-ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.