zabt kahta hai dil-e-zar sanbhal jaega
zabt kahtā hai dil-e-zār sañbhal jā.egā
shauq kahtā hai abhī tan se nikal jā.egā
kal kī shab kaT ga.ī jis tarah se ai dard-e-firāq
aaj kā din bhī usī tarah se Tal jā.egā
tum jo bigḌe ho to bigḌā hai muqaddar apnā
tum jo sañbhlo to muqaddar bhī sañbhal jā.egā
bad-gumānī jo unheñ mujh se hai gar duur huī
ek kāñTā sā mire dil se nikal jā.egā
tapish-e-ishq salāmat hai to ik din ai dost
dil tirā mom kī mānind pighal jā.egā
us ko baḳhshegā mirā ishq hayāt-e-jāved
kaun kahtā hai tirā husn ye Dhal jā.egā
dard-e-ulfat kahīñ miTtā hai miTā.e se 'jalīl'
aaj pahlū se gayā aur na kal jā.egā
zabt kahta hai dil-e-zar sanbhal jaega
shauq kahta hai abhi tan se nikal jaega
kal ki shab kaT gai jis tarah se ai dard-e-firaq
aaj ka din bhi usi tarah se Tal jaega
tum jo bigDe ho to bigDa hai muqaddar apna
tum jo sanbhlo to muqaddar bhi sanbhal jaega
bad-gumani jo unhen mujh se hai gar dur hui
ek kanTa sa mere dil se nikal jaega
tapish-e-ishq salamat hai to ek din ai dost
dil tera mom ki manind pighal jaega
us ko baKHshega mera ishq hayat-e-jawed
kaun kahta hai tera husn ye Dhal jaega
dard-e-ulfat kahin miTta hai miTae se 'jalil'
aaj pahlu se gaya aur na kal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.