zabt ke ba-wasf dil kyon be-adab hone laga
zabt ke bā-vasf dil kyoñ be-adab hone lagā
kyoñ nigāhoñ se ayaañ rang-e-talab hone lagā
kyā huī merī vafāoñ kī aqīdat kyā huī
bevafā.ī kā gila kyoñ zer-e-lab hone lagā
be-qarārī dil kī fitrat zabt-e-ġham merī sarisht
kashmakash kā taaza sāmāñ roz-o-shab hone lagā
dil kī ḳhushnūdī agar manzūr hai ḳhāmosh rah
josh-e-ġham to āj-kal kuchh be-adab hone lagā
'fitrat' aur be-mehrī-e-taqdīr kā shikva ġhalat
ye nahīñ hone kā ai dil aisā kab hone lagā
zabt ke ba-wasf dil kyon be-adab hone laga
kyon nigahon se ayan rang-e-talab hone laga
kya hui meri wafaon ki aqidat kya hui
bewafai ka gila kyon zer-e-lab hone laga
be-qarari dil ki fitrat zabt-e-gham meri sarisht
kashmakash ka taza saman roz-o-shab hone laga
dil ki KHushnudi agar manzur hai KHamosh rah
josh-e-gham to aaj-kal kuchh be-adab hone laga
'fitrat' aur be-mehri-e-taqdir ka shikwa ghalat
ye nahin hone ka ai dil aisa kab hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.