zabt ke qafile phir bhi rahon mein the
zabt ke qāfile phir bhī rāhoñ meñ the
ḳhvāb āñkhoñ meñ thā aap bāñhoñ meñ the
koī bichhḌā to phir hasbunallah kahā
ġham ke maare tirī bārgāhoñ meñ the
jheltā kis tarah hākim-e-shahr ġham
tiir ashkoñ meñ the tanz aahoñ meñ the
is liye bhī nahīñ jiit paayā kabhī
maat ke mashvare ḳhair-ḳhvāhoñ meñ the
ishq ke dar pe vaarī ga.iiñ azmateñ
kitne dāman-darīda bhī shāhoñ meñ the
yā-ḳhudā terī jannat to apnī jagah
kuchh maze bhī to the jo gunāhoñ meñ the
maañ ne jaate hue thā kahā ḳhair ho
phir jahāñ bhī ga.e ham panāhoñ meñ the
dekhnā un kā 'e.ajāz' hai varna ham
raushnī meñ khaḌe rū-siyāhoñ meñ the
zabt ke qafile phir bhi rahon mein the
KHwab aankhon mein tha aap banhon mein the
koi bichhDa to phir hasbunallah kaha
gham ke mare teri bargahon mein the
jhelta kis tarah hakim-e-shahr gham
tir ashkon mein the tanz aahon mein the
is liye bhi nahin jit paya kabhi
mat ke mashware KHair-KHwahon mein the
ishq ke dar pe wari gain azmaten
kitne daman-darida bhi shahon mein the
ya-KHuda teri jannat to apni jagah
kuchh maze bhi to the jo gunahon mein the
man ne jate hue tha kaha KHair ho
phir jahan bhi gae hum panahon mein the
dekhna un ka 'eajaz' hai warna hum
raushni mein khaDe ru-siyahon mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.