zabt ki haar dil-e-zar na hone pae
zabt kī haar dil-e-zār na hone paa.e
dekh rusvā tirā kirdār na hone paa.e
bāġhbāñ ye bhī hai taz.īn-e-chaman kā hissa
gul ke pahlū se judā ḳhaar na hone paa.e
baat ḳhud karte haiñ takrār kī us par ye sitam
ḳhud hī kahte haiñ ki takrār na hone paa.e
rind chauñkeñge to maiḳhāne kī phir ḳhair nahīñ
dekh saaqī koī hushiyār na hone paa.e
ai nasīm-e-saharī aur zarā āhista
husn ḳhvābīda hai bedār na hone paa.e
un ke jalvoñ meñ is andāz kī tābānī hai
sāmne aa.eñ to dīdār na hone paa.e
hai mohabbat meñ yahī shart-e-mohabbat 'zākir'
ranj ho ranj kā iz.hār na hone paa.e
zabt ki haar dil-e-zar na hone pae
dekh ruswa tera kirdar na hone pae
baghban ye bhi hai tazin-e-chaman ka hissa
gul ke pahlu se juda KHar na hone pae
baat KHud karte hain takrar ki us par ye sitam
KHud hi kahte hain ki takrar na hone pae
rind chaunkenge to maiKHane ki phir KHair nahin
dekh saqi koi hushiyar na hone pae
ai nasim-e-sahari aur zara aahista
husn KHwabida hai bedar na hone pae
un ke jalwon mein is andaz ki tabani hai
samne aaen to didar na hone pae
hai mohabbat mein yahi shart-e-mohabbat 'zakir'
ranj ho ranj ka izhaar na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.