zabt ko aazmā ke dekheñge
dard meñ muskurā ke dekheñge
umr kyoñ rā.egāñ ho shikvoñ meñ
shukr meñ sar jhukā ke dekheñge
jis ko jalvat meñ kho diyā ham ne
us ko ḳhalvat meñ pā ke dekheñge
hasrateñ bujh rahī haiñ āñkhoñ meñ
ḳhuuñ kī sham.eñ jalā ke dekheñge
jis kī tasvīr-e-kun haiñ ye aalam
us musavvir ke ḳhāke dekheñge
mere dil meñ sañbhal ke aa.eñ aap
har qadam par dhamāke dekheñge
zindagī jaise pyaas sahrā kī
ham ajal se nibhā ke dekheñge
zabt ko aazma ke dekhenge
dard mein muskura ke dekhenge
umr kyon raegan ho shikwon mein
shukr mein sar jhuka ke dekhenge
jis ko jalwat mein kho diya hum ne
us ko KHalwat mein pa ke dekhenge
hasraten bujh rahi hain aankhon mein
KHun ki shamen jala ke dekhenge
jis ki taswir-e-kun hain ye aalam
us musawwir ke KHake dekhenge
mere dil mein sanbhal ke aaen aap
har qadam par dhamake dekhenge
zindagi jaise pyas sahra ki
hum ajal se nibha ke dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.