zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi
zabt mumkin na rahe baat hī aisī hogī
hausloñ ne to bahut parda-darī kī hogī
sar uThāte hue jhuk jaatī haiñ nazreñ jis kī
us kī ġhurbat bhī koī zaat to rakhtī hogī
jo kisī naam se mansūb thī ab tak shāyad
ḳhāna-e-dil meñ vo masnad abhī ḳhālī hogī
sāya-e-gul se lipaT kar koī royā hogā
chāñdnī jab dar-o-dīvār pe utrī hogī
phir zamistāñ kī ThiThurtī huī shab ne chup-chāp
us kī palkoñ pe mirī yaad piro dī hogī
koī tārīk darīchoñ ke pare sochtā hai
raushnī apnī rivāyāt to rakhtī hogī
har kisī ke liye hote haiñ judā paimāne
kāsa-e-chashm se daryūza-garī kī hogī
zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi
hauslon ne to bahut parda-dari ki hogi
sar uThate hue jhuk jati hain nazren jis ki
us ki ghurbat bhi koi zat to rakhti hogi
jo kisi nam se mansub thi ab tak shayad
KHana-e-dil mein wo masnad abhi KHali hogi
saya-e-gul se lipaT kar koi roya hoga
chandni jab dar-o-diwar pe utri hogi
phir zamistan ki ThiThurti hui shab ne chup-chap
us ki palkon pe meri yaad piro di hogi
koi tarik darichon ke pare sochta hai
raushni apni riwayat to rakhti hogi
har kisi ke liye hote hain juda paimane
kasa-e-chashm se daryuza-gari ki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.