zad mein haalat ke mat puchhen kahan tak pahunche
zad meñ hālāt ke mat pūchheñ kahāñ tak pahuñche
ham ne sochā bhī na thā aaj jahāñ tak pahuñche
jaane kaisā thā safar kaun sī saa.at nikle
ziist sahmī hī nazar aa.ī jahāñ tak pahuñche
kyoñ kisī se kaheñ har baat koī kyā samjhe
kyā zarūrī hai ki har baat zabāñ tak pahuñche
koī to hazrat-e-nāseh se bas itnā pūchhe
rind pahuñche jahāñ kyā aap vahāñ tak pahuñche
raaz mub.ham huā aur jitnā uThāyā parda
mahram-e-rāz kahāñ rāz-e-nihāñ tak pahuñche
vo nigāhoñ ke tasādum se chhiḌā jo qissa
kis ko ma.alūm ki vo baat kahāñ tak pahuñche
ārzūoñ ke ta.āqub meñ baḌhe jitnā 'zubair'
zindagī raqs-e-bahārāñ thī jahāñ tak pahuñche
zad mein haalat ke mat puchhen kahan tak pahunche
hum ne socha bhi na tha aaj jahan tak pahunche
jaane kaisa tha safar kaun si saat nikle
zist sahmi hi nazar aai jahan tak pahunche
kyon kisi se kahen har baat koi kya samjhe
kya zaruri hai ki har baat zaban tak pahunche
koi to hazrat-e-naseh se bas itna puchhe
rind pahunche jahan kya aap wahan tak pahunche
raaz mubham hua aur jitna uThaya parda
mahram-e-raaz kahan raaz-e-nihan tak pahunche
wo nigahon ke tasadum se chhiDa jo qissa
kis ko malum ki wo baat kahan tak pahunche
aarzuon ke taaqub mein baDhe jitna 'zubair'
zindagi raqs-e-bahaaran thi jahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.