zahanat ne nai duniya ki botiqa murattab ki
zahānat ne na.ī duniyā kī botīqā murattab kī
kahānī hāshiye par jā chukī shā.ir ke mansab kī
tirī ye gol duniyā to kuaañ hai maut kā yā-rab
maiñ chakrāyā tavāzun meñ to paa.ī daad kartab kī
na jaane aañkh ne kyā dekh kar tausī.a use dī hai
vagarna ḳhvāb kī muddat to puurī ho chukī kab kī
sabā ḳhushbū ko āñdhī gard ko aage baḌhātī hai
yahāñ sab fikr phailāte haiñ apne apne maktab kī
hamārī kahkashāñ ke vast meñ tārīk rauzan hai
isī meñ mahv hotī jā rahī hai raushnī sab kī
maiñ un se surma.ī sub.hoñ kī tamsīleñ nichoḌūñgā
lagī haiñ haath kuchh parchhā.iyāñ bhīgī huī shab kī
falak se kaam ke manzar kashīd ik roz kar lūñgā
zamīñ se aḳhz kar lūñgā fazā.eñ apne matlab kī
mileñgī do tamannā.eñ to hāsil kuchh nayā hogā
ki ajzā se alag hotī hai ḳhāsiyyat murakkab kī
hamārā zauq-e-naqqāshī nahīñ hai aaj kā pyāre
zabāñ tashkīl ke ġhāroñ meñ thī ye lahr hai tab kī
kahīñ zarre ko apnī mauj meñ uḌtā huā dekho
to shāyad tum samajh paao hayāt āzād-mashrab kī
nahīñ ma.alūm kis shamsī fazā ke paas se guzrā
chamak baḌhne lagī imkān ke dum-dār kaukab kī
siyāhī phail kar dil se jabīñ tak aan pahuñchī hai
badal dī haiñ musalsal sar-kashī ne sūrateñ sab kī
guzar jūñhī farāmoshī ke dariyā se huā merā
vahīñ apnī surāhī āb-e-nisyāñ se labālab kī
zahanat ne nai duniya ki botiqa murattab ki
kahani hashiye par ja chuki shair ke mansab ki
teri ye gol duniya to kuan hai maut ka ya-rab
main chakraya tawazun mein to pai dad kartab ki
na jaane aankh ne kya dekh kar tausia use di hai
wagarna KHwab ki muddat to puri ho chuki kab ki
saba KHushbu ko aandhi gard ko aage baDhati hai
yahan sab fikr phailate hain apne apne maktab ki
hamari kahkashan ke wast mein tarik rauzan hai
isi mein mahw hoti ja rahi hai raushni sab ki
main un se surmai subhon ki tamsilen nichoDunga
lagi hain hath kuchh parchhaiyan bhigi hui shab ki
falak se kaam ke manzar kashid ek roz kar lunga
zamin se aKHz kar lunga fazaen apne matlab ki
milengi do tamannaen to hasil kuchh naya hoga
ki ajza se alag hoti hai KHasiyyat murakkab ki
hamara zauq-e-naqqashi nahin hai aaj ka pyare
zaban tashkil ke ghaaron mein thi ye lahr hai tab ki
kahin zarre ko apni mauj mein uDta hua dekho
to shayad tum samajh pao hayat aazad-mashrab ki
nahin malum kis shamsi faza ke pas se guzra
chamak baDhne lagi imkan ke dum-dar kaukab ki
siyahi phail kar dil se jabin tak aan pahunchi hai
badal di hain musalsal sar-kashi ne suraten sab ki
guzar junhi faramoshi ke dariya se hua mera
wahin apni surahi aab-e-nisyan se labaalab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.