Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahe nasib ki imkan-e-zist ab tak hai

Abu Hurrairah Abbasi

zahe nasib ki imkan-e-zist ab tak hai

Abu Hurrairah Abbasi

MORE BYAbu Hurrairah Abbasi

    zahe nasīb ki imkān-e-zīst ab tak hai

    tumhārā hijr unvān-e-zīst ab tak hai

    kise paḌī hai jo aa kar sune kahānī mirī

    mire vujūd pe bohtān-e-zīst ab tak hai

    bahut dīdanī manzar thā merī vahshat

    tabhī se chaak garebān-e-zīst ab tak hai

    mohabbatoñ meñ azal se sabhī ne ġham sahā

    mohabbatoñ meñ to nuqsān-e-zīst ab tak hai

    nikālā jis ko baġhāvat pe thā qabīle ne

    nahīñ marā vo to mehmān-e-zīst ab tak hai

    kahāñ mileñge sañvāreñge ek duuje ko

    tirī talab mujhe daurān-e-zīst ab tak hai

    abhī qalam bhī hai baaqī mire ye misre bhī

    mirī to kuTiyā meñ sāmān-e-zīst ab tak hai

    kabhī bhī yaad musībat meñ ġhair ko na kiyā

    mirā ḳhudā nigahbān-e-zīst ab tak hai

    zahe nasib ki imkan-e-zist ab tak hai

    tumhaara hijr hi unwan-e-zist ab tak hai

    kise paDi hai jo aa kar sune kahani meri

    mere wujud pe bohtan-e-zist ab tak hai

    bahut hi didani manzar tha meri wahshat ka

    tabhi se chaak gareban-e-zist ab tak hai

    mohabbaton mein azal se sabhi ne gham hi saha

    mohabbaton mein to nuqsan-e-zist ab tak hai

    nikala jis ko baghawat pe tha qabile ne

    nahin mara wo to mehman-e-zist ab tak hai

    kahan milenge sanwarenge ek duje ko

    teri talab mujhe dauran-e-zist ab tak hai

    abhi qalam bhi hai baqi mere ye misre bhi

    meri to kuTiya mein saman-e-zist ab tak hai

    kabhi bhi yaad musibat mein ghair ko na kiya

    mera KHuda hi nigahban-e-zist ab tak hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now