zahr de kar mujhe sine se lagane wale
zahr de kar mujhe siine se lagāne vaale
kitne ma.asūm haiñ dil toḌ ke jaane vaale
lab pe mere jo tabassum kabhī dikh jaatā hai
baat kyā kyā na banāte haiñ zamāne vaale
har chamaktī huī shai pe na luTānā jazbāt
pyaar karte nahīñ sab log lubhāne vaale
jabki har chiiz kī chorī kī sajā hotī hai
jaan ban jaate haiñ kyoñ dil ko churāne vaale
rūThnā ho jo kisī se to samajh lenā ye baat
ab kahāñ milte haiñ minnat se manāne vaale
bārhā pūchh ke ahvāl mirā jaane kyoñ
zaḳhm ko chheḌ hī jaate hai zamāne vaale
jab bhī ik choT na.ī dil pe lagātā hai koī
yaad aate haiñ mujhe dard purāne vaale
zahr de kar mujhe sine se lagane wale
kitne masum hain dil toD ke jaane wale
lab pe mere jo tabassum kabhi dikh jata hai
baat kya kya na banate hain zamane wale
har chamakti hui shai pe na luTana jazbaat
pyar karte nahin sab log lubhane wale
jabki har chiz ki chori ki saja hoti hai
jaan ban jate hain kyon dil ko churane wale
ruThna ho jo kisi se to samajh lena ye baat
ab kahan milte hain minnat se manane wale
barha puchh ke ahwal mera jaane kyon
zaKHm ko chheD hi jate hai zamane wale
jab bhi ek choT nai dil pe lagata hai koi
yaad aate hain mujhe dard purane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.