zahr-e-gham kaam kar gaya shayad
zahr-e-ġham kaam kar gayā shāyad
koī jaañ se guzar gayā shāyad
dil ajab hālat-e-qarār meñ hai
zaḳhm-e-ummīd bhar gayā shāyad
chāñd ik saath saath chaltā thā
raat ke paar utar gayā shāyad
merī manzil pukārtī thī mujhe
lauT kar vo bhī ghar gayā shāyad
ab jo hamrāh koī chaap nahīñ
āḳhirī ham-safar gayā shāyad
maut kyoñ is qadar aziiz huī
ziist se koī Dar gayā shāyad
zahr-e-gham kaam kar gaya shayad
koi jaan se guzar gaya shayad
dil ajab haalat-e-qarar mein hai
zaKHm-e-ummid bhar gaya shayad
chand ek sath sath chalta tha
raat ke par utar gaya shayad
meri manzil pukarti thi mujhe
lauT kar wo bhi ghar gaya shayad
ab jo hamrah koi chap nahin
aaKHiri ham-safar gaya shayad
maut kyon is qadar aziz hui
zist se koi Dar gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.