zahr ke ghunT pi rahe hain hum
zahr ke ghūñT pī rahe haiñ ham
terī nazroñ meñ jī rahe haiñ ham
ḳhuub hai sozan-e-mizha bhī tirī
dil ke zaḳhmoñ ko sī rahe haiñ ham
ghar to ghar sar diye haiñ ġhurbat meñ
dasht meñ bhī saḳhī rahe haiñ ham
shoḳh hoñ mai-kade hoñ mahfileñ hoñ
har jagah muttaqī rahe haiñ ham
tere kūche kī guftugū hai fuzūl
tere to dil meñ bhī rahe haiñ ham
pesh-e-ḳhidmat haiñ kausar-o-tasnīm
kushta-e-tishnagī rahe haiñ ham
de diye roTiyoñ samet shutur
muflisī meñ ġhanī rahe haiñ ham
nafs ke shar se 'hilm' bach ke raho
muddatoñ se dukhī rahe haiñ ham
zahr ke ghunT pi rahe hain hum
teri nazron mein ji rahe hain hum
KHub hai sozan-e-mizha bhi teri
dil ke zaKHmon ko si rahe hain hum
ghar to ghar sar diye hain ghurbat mein
dasht mein bhi saKHi rahe hain hum
shoKH hon mai-kade hon mahfilen hon
har jagah muttaqi rahe hain hum
tere kuche ki guftugu hai fuzul
tere to dil mein bhi rahe hain hum
pesh-e-KHidmat hain kausar-o-tasnim
kushta-e-tishnagi rahe hain hum
de diye roTiyon samet shutur
muflisi mein ghani rahe hain hum
nafs ke shar se 'hilm' bach ke raho
muddaton se dukhi rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.