zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai
zahr piitā hai shab-o-roz duā detā hai
paikar-e-ḳhāk hī jannat kā patā detā hai
gosha-e-zehn meñ jaltā hai ra.ūnat kā charāġh
dil kī bastī meñ vahī aag lagā detā hai
sāzisheñ jab bhī ḳhayāloñ meñ jagah paatī haiñ
aadmī TuuT ke miltā hai daġhā detā hai
kar ke ehsān mirī zaat pe hañsne vaalo
chehra insān kī auqāt batā detā hai
jin kī azmat pe farishtoñ ne qadam chuum liyā
haq-navā.ī kā sila un ko ḳhudā detā hai
mere ehsās ke gulshan meñ bikharne kā ḳhayāl
jab bhī aatā hai mirī niiñd uḌā detā hai
ghar kī dahlīz pe vo raat ga.e pichhle pahar
jaane kis haal meñ 'nashtar' ko sadā detā hai
zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai
paikar-e-KHak hi jannat ka pata deta hai
gosha-e-zehn mein jalta hai raunat ka charagh
dil ki basti mein wahi aag laga deta hai
sazishen jab bhi KHayalon mein jagah pati hain
aadmi TuT ke milta hai dagha deta hai
kar ke ehsan meri zat pe hansne walo
chehra insan ki auqat bata deta hai
jin ki azmat pe farishton ne qadam chum liya
haq-nawai ka sila un ko KHuda deta hai
mere ehsas ke gulshan mein bikharne ka KHayal
jab bhi aata hai meri nind uDa deta hai
ghar ki dahliz pe wo raat gae pichhle pahar
jaane kis haal mein 'nashtar' ko sada deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.