zahr tarz-e-bayan se nikla
zahr tarz-e-bayān se niklā
dil kā kāñTā zabān se niklā
is qadar hādsoñ ne gherā mujhe
ḳhauf vahm-o-gumān se niklā
jhilmilā bhī nahīñ sake taare
chāñd jab āsmān se niklā
TuuT kar dil ne chain paayā hai
jaane kis imtihān se niklā
vo to aadam the ḳhuld se nikle
ik farishta gumān se niklā
aañkh nam ho ga.ī shikārī kī
tiir ik jab kamān se niklā
zahr tarz-e-bayan se nikla
dil ka kanTa zaban se nikla
is qadar hadson ne ghera mujhe
KHauf wahm-o-guman se nikla
jhilmila bhi nahin sake tare
chand jab aasman se nikla
TuT kar dil ne chain paya hai
jaane kis imtihan se nikla
wo to aadam the KHuld se nikle
ek farishta guman se nikla
aankh nam ho gai shikari ki
tir ek jab kaman se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.