zaifi is liye mujhko suhani lagti hai
za.īfī is liye mujh ko suhānī lagtī hai
ise kamāne meñ puurī javānī lagtī hai
natīja ye hai ki barsoñ talāsh-e-zāt ke baa'd
vahāñ khaḌā huuñ jahāñ ret paanī lagtī hai
guzar rahā huuñ maiñ ilhām kī aziyyat se
har ek baat hī mujh ko purānī lagtī hai
udaas chehre kī rotī huī hañsī mujh ko
kisī ke hijr kī pahlī nishānī lagtī hai
zamīñ kī ḳhaak to biktī hai kāġhzāt pe aur
bashar kī ḳhaak kī bolī zabānī lagtī hai
maiñ apnā aks kisī aur shai meñ dekhūñgā
ki aa.ine meñ to sūrat purānī lagtī hai
tū mere jism ko chhū kar batā maiñ kaisā huuñ
mujhe to ḳhaak ye sadiyoñ purānī lagtī hai
musībatoñ ke tasalsul ko toḌ detī hai
kabhī kabhī kī ḳhushī nā-gahānī lagtī hai
ye kaisī ḳhaak se tū ne banā diyā hai mujhe
ki saañs lete hue rā.egānī lagtī hai
maiñ raftagāñ kī saqāfat huuñ so mirī hastī
mire hī bachchoñ ko qissa kahānī lagtī hai
kalām kartī hai 'ḳhālid' jab āñsūoñ kī zabāñ
zamīñ kī baat bhī tab āsmānī lagtī hai
zaifi is liye mujh ko suhani lagti hai
ise kamane mein puri jawani lagti hai
natija ye hai ki barson talash-e-zat ke ba'd
wahan khaDa hun jahan ret pani lagti hai
guzar raha hun main ilham ki aziyyat se
har ek baat hi mujh ko purani lagti hai
udas chehre ki roti hui hansi mujh ko
kisi ke hijr ki pahli nishani lagti hai
zamin ki KHak to bikti hai kaghzat pe aur
bashar ki KHak ki boli zabani lagti hai
main apna aks kisi aur shai mein dekhunga
ki aaine mein to surat purani lagti hai
tu mere jism ko chhu kar bata main kaisa hun
mujhe to KHak ye sadiyon purani lagti hai
musibaton ke tasalsul ko toD deti hai
kabhi kabhi ki KHushi na-gahani lagti hai
ye kaisi KHak se tu ne bana diya hai mujhe
ki sans lete hue raegani lagti hai
main raftagan ki saqafat hun so meri hasti
mere hi bachchon ko qissa kahani lagti hai
kalam karti hai 'KHalid' jab aansuon ki zaban
zamin ki baat bhi tab aasmani lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.