zaKHm aisa hai dikhane se hawa lag jae
zaḳhm aisā hai dikhāne se havā lag jaa.e
tū duā kar ki mujhe koī duā lag jaa.e
ham se mastoñ pe har ik rang sivā khultā hai
ain mumkin hai añdherā bhī diyā lag jaa.e
sabzagī ho to purānā bhī ġhanīmat hai mujhe
dil kī vīrānī meñ ik rog harā lag jaa.e
sher se ishq agar kār-e-havas jaisā ho
itne achchhe se kareñ sab ko burā lag jaa.e
uuñT bhī jaise udāsī kā hunar jānte haiñ
bhūke pyāse hoñ magar dasht bhalā lag jaa.e
dil lagāne se bahalne kā nahīñ hai 'rāshid'
aur vo dil ki jise ishq-e-ḳhudā lag jaa.e
zaKHm aisa hai dikhane se hawa lag jae
tu dua kar ki mujhe koi dua lag jae
hum se maston pe har ek rang siwa khulta hai
ain mumkin hai andhera bhi diya lag jae
sabzagi ho to purana bhi ghanimat hai mujhe
dil ki virani mein ek rog hara lag jae
sher se ishq agar kar-e-hawas jaisa ho
itne achchhe se karen sab ko bura lag jae
unT bhi jaise udasi ka hunar jaante hain
bhuke pyase hon magar dasht bhala lag jae
dil lagane se bahalne ka nahin hai 'rashid'
aur wo dil ki jise ishq-e-KHuda lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.