zaKHm bhi taza tha aur us pe hawa bhi taza
zaḳhm bhī taaza thā aur us pe havā bhī taaza
dil ne rakkhā thā magar raḳhsh-e-duā bhī taaza
tar-ba-tar hai mire hāthoñ meñ vahī jāmunī rañg
tum ne pūchhā thā ki hotī hai ghaTā bhī taaza
ab talak hai vahī jaltā huā sahrā vahī maiñ
ab talak hai tapish-e-shauq-e-nidā bhī taaza
kis bahāne se tujhe bhuul rahūñ aur ḳhush huuñ
phir banā legā ye dil ek ḳhudā bhī taaza
kis bahāne se maiñ jāgūñ tujhe DhūñDūñ ab ke
ab to is sahn meñ Thahre na havā bhī taaza
aa.ina māñgtā rahtā hai vahī aks tirā
aañkh rakhtī hai tirā rañg-e-qabā bhī taaza
bas bahut hausla rakhne kī kahānī kah lī
raat ko phuul masaltī hai havā bhī taaza
zaKHm bhi taza tha aur us pe hawa bhi taza
dil ne rakkha tha magar raKHsh-e-dua bhi taza
tar-ba-tar hai mere hathon mein wahi jamuni rang
tum ne puchha tha ki hoti hai ghaTa bhi taza
ab talak hai wahi jalta hua sahra wahi main
ab talak hai tapish-e-shauq-e-nida bhi taza
kis bahane se tujhe bhul rahun aur KHush hun
phir bana lega ye dil ek KHuda bhi taza
kis bahane se main jagun tujhe DhunDun ab ke
ab to is sahn mein Thahre na hawa bhi taza
aaina mangta rahta hai wahi aks tera
aankh rakhti hai tera rang-e-qaba bhi taza
bas bahut hausla rakhne ki kahani kah li
raat ko phul masalti hai hawa bhi taza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.