zaKHm dil mein sanbhaal rakkhe hain
zaḳhm dil meñ sañbhāl rakkhe haiñ
kitne mehmān paal rakkhe haiñ
terī bātoñ pe thā yaqīñ mujh ko
gumāñ kyā kyā jo paal rakkhe haiñ
mere pairoñ meñ ḳhuub haiñ chhāle
aable kitne paal rakkhe haiñ
sang-e-marmar kī terī mūrat ne
pahlū kyā kyā nikāl rakkhe haiñ
dekh sūrat ye aa.ina hañstā
sapne kitne sañbhāl rakkhe haiñ
jab havā.eñ ḳhilāf haiñ phir bhī
kashtī tūfāñ meñ Daal rakkhe haiñ
dost talvār thāme haiñ 'āqib'
ham to hāthoñ meñ Dhaal rakkhe haiñ
zaKHm dil mein sanbhaal rakkhe hain
kitne mehman pal rakkhe hain
teri baaton pe tha yaqin mujh ko
guman kya kya jo pal rakkhe hain
mere pairon mein KHub hain chhaale
aable kitne pal rakkhe hain
sang-e-marmar ki teri murat ne
pahlu kya kya nikal rakkhe hain
dekh surat ye aaina hansta
sapne kitne sanbhaal rakkhe hain
jab hawaen KHilaf hain phir bhi
kashti tufan mein Dal rakkhe hain
dost talwar thame hain 'aqib'
hum to hathon mein Dhaal rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.