zaKHm-e-dil jab bhi mahakta hai bhala lagta hai
zaḳhm-e-dil jab bhī mahaktā hai bhalā lagtā hai
silsila 'ahd-e-guzishta hī se jā lagtā hai
ek hī shaḳhs ne ik vaar kiyā thā lekin
rang har shaḳhs ke chehre kā uḌā lagtā hai
mujh ko mā'lūm na thā aise bhī din ā.eñge
koī sach bol rahā ho to burā lagtā hai
apne ahbāb se kuchh aisī banī hai ki hameñ
koī but koī sanam koī ḳhudā lagtā hai
har nayā chehra na.ī baat nayā afsāna
jo kisī ne na kahā aur na sunā lagtā hai
zehn meñ aate haiñ insāñ kī udāsī ke ḳhayāl
jab bhī pahlū mirā bistar se zarā lagtā hai
kaun kis haal meñ kis fikr meñ kis soch meñ hai
ab na chehroñ se na bātoñ se pata lagtā hai
ġhaur se dekhiye 'iqbāl-umar’ kā chehra
rāt-bhar chāñd sitāroñ se laḌā lagtā hai
zaKHm-e-dil jab bhi mahakta hai bhala lagta hai
silsila 'ahd-e-guzishta hi se ja lagta hai
ek hi shaKHs ne ek war kiya tha lekin
rang har shaKHs ke chehre ka uDa lagta hai
mujh ko ma'lum na tha aise bhi din aaenge
koi sach bol raha ho to bura lagta hai
apne ahbab se kuchh aisi bani hai ki hamein
koi but koi sanam koi KHuda lagta hai
har naya chehra nai baat naya afsana
jo kisi ne na kaha aur na suna lagta hai
zehn mein aate hain insan ki udasi ke KHayal
jab bhi pahlu mera bistar se zara lagta hai
kaun kis haal mein kis fikr mein kis soch mein hai
ab na chehron se na baaton se pata lagta hai
ghaur se dekhiye 'iqbaal-umar’ ka chehra
raat-bhar chand sitaron se laDa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.