zaKHm-e-dil zaKHm-e-zaban sab sah gae
zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-zabāñ sab sah ga.e
vaqt ke maare hue chup rah ga.e
aap kī dariyā-dilī bhī dekh lī
kitne dariyā āñsuoñ meñ bah ga.e
de rahe the be-amal dars-e-amal
ham bhī sab sun kar samajh kar rah ga.e
be-zabānī bhī zabāñ ban kar rahī
kuchh na kahnā thā magar kuchh kah ga.e
harf-e-haq bardāsht ke qābil na thā
kitnī choTeñ thiiñ jo nāhaq sah ga.e
ġhaflat-e-imroz ke sailāb meñ
kal ke saare kārnāme bah ga.e
'najm' ham nikle jo arz-e-tāj se
ḳhusrav-e-be-tāj ho kar rah ga.e
zaKHm-e-dil zaKHm-e-zaban sab sah gae
waqt ke mare hue chup rah gae
aap ki dariya-dili bhi dekh li
kitne dariya aansuon mein bah gae
de rahe the be-amal dars-e-amal
hum bhi sab sun kar samajh kar rah gae
be-zabani bhi zaban ban kar rahi
kuchh na kahna tha magar kuchh kah gae
harf-e-haq bardasht ke qabil na tha
kitni choTen thin jo nahaq sah gae
ghaflat-e-imroz ke sailab mein
kal ke sare karname bah gae
'najm' hum nikle jo arz-e-taj se
KHusraw-e-be-taj ho kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.