zaKHm-e-hasti kisi marham se bhi achchha na hua
zaKHm-e-hasti kisi marham se bhi achchha na hua
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
zaḳhm-e-hastī kisī marham se bhī achchhā na huā
kisī sūrat se ilāj-e-ġham-e-fardā na huā
mere jazbāt ham-āhang-e-taqaddus hī rahe
ya.anī kirdār kā dāman kabhī mailā na huā
ghar meñ ik peḌ lagāyā thā zamāna guzrā
lekin afsos mayassar kabhī saayā na huā
raat to guzrī magar sub.h numāyāñ na huī
vo bhī din the ki kabhī ghar meñ añdherā na huā
haañ ba-zāhir to rahe anjuman-ārā ham log
par haqīqat meñ koī ham se shanāsā na huā
kis tarah phir koī ummīd-e-karam ho dil meñ
jabki andāz-e-sitam hausla-afzā na huā
fā.eda kyā hai havāoñ se ulajhne meñ 'ziyā'
jab diyā jaltā rahā aur ujālā na huā
zaKHm-e-hasti kisi marham se bhi achchha na hua
kisi surat se ilaj-e-gham-e-farda na hua
mere jazbaat ham-ahang-e-taqaddus hi rahe
yani kirdar ka daman kabhi maila na hua
ghar mein ek peD lagaya tha zamana guzra
lekin afsos mayassar kabhi saya na hua
raat to guzri magar subh numayan na hui
wo bhi din the ki kabhi ghar mein andhera na hua
han ba-zahir to rahe anjuman-ara hum log
par haqiqat mein koi hum se shanasa na hua
kis tarah phir koi ummid-e-karam ho dil mein
jabki andaz-e-sitam hausla-afza na hua
faeda kya hai hawaon se ulajhne mein 'ziya'
jab diya jalta raha aur ujala na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.