zaKHm-e-nadida bahar-taur dikhane the bahut
zaḳhm-e-nādīda bahar-taur dikhāne the bahut
mausam-e-hijr ke qisse bhī sunāne the bahut
us ke hañgāmoñ ke sab log divāne the bahut
merī ḳhāmosh mizājī ke fasāne the bahut
ek maiñ jī na sakī de ke zamāne ko fareb
yuuñ to is shahr meñ jiine ke bahāne the bahut
vo kabhī dil kī hasīñ shāḳh pe baiThā hī na thā
mere andar ke parinde ke Thikāne the bahut
maiñ siyah raat meñ thī ḳhud hī munavvar 'rāhat'
mere andar bhī charāġhoñ ke ḳhazāne the bahut
zaKHm-e-nadida bahar-taur dikhane the bahut
mausam-e-hijr ke qisse bhi sunane the bahut
us ke hangamon ke sab log diwane the bahut
meri KHamosh mizaji ke fasane the bahut
ek main ji na saki de ke zamane ko fareb
yun to is shahr mein jine ke bahane the bahut
wo kabhi dil ki hasin shaKH pe baiTha hi na tha
mere andar ke parinde ke Thikane the bahut
main siyah raat mein thi KHud hi munawwar 'rahat'
mere andar bhi charaghon ke KHazane the bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.