zaKHm-e-paikan-e-sitam laeq-e-izhaar nahin
zaḳhm-e-paikān-e-sitam lā.eq-e-iz.hār nahīñ
ham ko manzūr ilāj-e-dil-e-bīmār nahīñ
dil mirā dekh ke kahte haiñ ki darkār nahīñ
ye bhī ik husn-e-talab hai ki talabgār nahīñ
ik vafā hai ki unheñ yaad dilātī hai mirī
ik yahī baat hai jis se unheñ inkār nahīñ
mā.il-e-shauq-e-asīrī hai rihā.ī kyā hai
vo bhī āzād nahīñ hai jo giraftār nahīñ
be-niyāzī kī ajab shaan hai allāh allāh
us kī duniyā hai jo duniyā kā talabgār nahīñ
qaid-e-hastī se rihā hotā hai terā vahshī
saañs zanjīr hai us kā bhī ravādār nahīñ
ātish-e-ishq meñ jalne ko huā huuñ paidā
ek zarra bhī mirī ḳhaak kā bekār nahīñ
chashm-e-sāqī ke ishāroñ pe nigāheñ rakkhe
mai-kade vāloñ meñ itnā koī hushiyār nahīñ
band kī aañkh to phir ham haiñ na duniyā hai 'shamīm'
safar-e-manzil-e-hastī koī dushvār nahīñ
zaKHm-e-paikan-e-sitam laeq-e-izhaar nahin
hum ko manzur ilaj-e-dil-e-bimar nahin
dil mera dekh ke kahte hain ki darkar nahin
ye bhi ek husn-e-talab hai ki talabgar nahin
ek wafa hai ki unhen yaad dilati hai meri
ek yahi baat hai jis se unhen inkar nahin
mail-e-shauq-e-asiri hai rihai kya hai
wo bhi aazad nahin hai jo giraftar nahin
be-niyazi ki ajab shan hai allah allah
us ki duniya hai jo duniya ka talabgar nahin
qaid-e-hasti se riha hota hai tera wahshi
sans zanjir hai us ka bhi rawadar nahin
aatish-e-ishq mein jalne ko hua hun paida
ek zarra bhi meri KHak ka bekar nahin
chashm-e-saqi ke ishaaron pe nigahen rakkhe
mai-kade walon mein itna koi hushiyar nahin
band ki aankh to phir hum hain na duniya hai 'shamim'
safar-e-manzil-e-hasti koi dushwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.