zaKHm-e-tanhai bekali si hai
zaḳhm-e-tanhā.ī bekalī sī hai
merī āñkhoñ meñ ik namī sī hai
tū nahīñ hai to aisā lagtā hai
zindagī meñ koī kamī sī hai
dil pe chhā.ī hai tīrgī lekin
terī yādoñ kī raushnī sī hai
aisā lagtā hai guftugū kar ke
terī bātoñ meñ shā.erī sī hai
shām-e-ġham terā shukriyā har pal
jaane kyoñ tujh se āshiqī sī hai
merā kirdār hī kuchh aisā hai
dushmanoñ se bhī dostī sī hai
muflisī ye tirī haqīqat hai
saarī duniyā hī ajnabī sī hai
ye zamāna fareb hai 'raunaq'
maut meñ hī to zindagī sī hai
zaKHm-e-tanhai bekali si hai
meri aankhon mein ek nami si hai
tu nahin hai to aisa lagta hai
zindagi mein koi kami si hai
dil pe chhai hai tirgi lekin
teri yaadon ki raushni si hai
aisa lagta hai guftugu kar ke
teri baaton mein shaeri si hai
sham-e-gham tera shukriya har pal
jaane kyon tujh se aashiqi si hai
mera kirdar hi kuchh aisa hai
dushmanon se bhi dosti si hai
muflisi ye teri haqiqat hai
sari duniya hi ajnabi si hai
ye zamana fareb hai 'raunaq'
maut mein hi to zindagi si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.