zaKHm-e-tanhai mila ishq mein ruswai bhi
zaKHm-e-tanhai mila ishq mein ruswai bhi
Jameel Arshad Khan Arshad
MORE BYJameel Arshad Khan Arshad
zaḳhm-e-tanhā.ī milā ishq meñ rusvā.ī bhī
phir bhī kuchh kam na huī ishq kī gahrā.ī bhī
aaj hañs hañs ke jo ġhairoñ se milā kartā hai
thā vahī shaḳhs kabhī merā hī shaidā.ī bhī
jaam āñkhoñ ke vo hoñToñ kī gulābī kaliyāñ
aur yaad aatī hai us kī mujhe añgḌā.ī bhī
bad-gumāñ jis se kiyā kartā hai aksar mujh ko
hai usī chāñd kā vo shaḳhs tamannā.ī bhī
phir se dastak dar-e-dil par ye bhalā kaun aayā
nahīñ tasvīr to pahlī abhī dhuñdlā.ī bhī
merī aadat hai ki har ik se milā kartā huuñ
yuuñ zarūrī to nahīñ sab se shanāsā.ī bhī
jis se lagtā thā bahut Dar mujhe pahle 'arshad'
raas aatī hai mujhe ab vahī tanhā.ī bhī
zaKHm-e-tanhai mila ishq mein ruswai bhi
phir bhi kuchh kam na hui ishq ki gahrai bhi
aaj hans hans ke jo ghairon se mila karta hai
tha wahi shaKHs kabhi mera hi shaidai bhi
jam aankhon ke wo honTon ki gulabi kaliyan
aur yaad aati hai us ki mujhe angDai bhi
bad-guman jis se kiya karta hai aksar mujh ko
hai usi chand ka wo shaKHs tamannai bhi
phir se dastak dar-e-dil par ye bhala kaun aaya
nahin taswir to pahli abhi dhundlai bhi
meri aadat hai ki har ek se mila karta hun
yun zaruri to nahin sab se shanasai bhi
jis se lagta tha bahut Dar mujhe pahle 'arshad'
ras aati hai mujhe ab wahi tanhai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.