zaKHm hai sina abhi talwar hai ehsas abhi
zaḳhm hai siina abhī talvār hai ehsās abhī
kuchh na kuchh jiine kā sarmāya hai mere paas abhī
saañs roke sun rahā hai vaqt un kā faisla
uThtī jhuktī vo nigāheñ aas abhī haiñ yaas abhī
barf kī sil hai kabhī dil aur kabhī sho.ale kī lau
is bayābāñ ko koī mausam na aaya raas abhī
had se baḌh jaa.e to phir dariyā kī kuchh hastī nahīñ
sāhil-e-mamnūa par dam toḌtī hai pyaas abhī
shahr-e-jāñ terī taraf ab bhī khiñchā jaatā hai dil
terī galiyoñ meñ hai agle daur kī bū-bās abhī
gūñjtī hai dil meñ ab bhī koī gum-gashta sadā
ham ko 'qaisī' hai shikast-e-ārzū kā paas abhī
zaKHm hai sina abhi talwar hai ehsas abhi
kuchh na kuchh jine ka sarmaya hai mere pas abhi
sans roke sun raha hai waqt un ka faisla
uThti jhukti wo nigahen aas abhi hain yas abhi
barf ki sil hai kabhi dil aur kabhi shoale ki lau
is bayaban ko koi mausam na aaya ras abhi
had se baDh jae to phir dariya ki kuchh hasti nahin
sahil-e-mamnua par dam toDti hai pyas abhi
shahr-e-jaan teri taraf ab bhi khincha jata hai dil
teri galiyon mein hai agle daur ki bu-bas abhi
gunjti hai dil mein ab bhi koi gum-gashta sada
hum ko 'qaisi' hai shikast-e-arzu ka pas abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.