zaKHm is zaKHm pe tahrir kiya jaega
zaḳhm is zaḳhm pe tahrīr kiyā jā.egā
kyā dobāra mujhe dil-gīr kiyā jā.egā
us kī āñkhoñ meñ khaḌā dekh rahā huuñ ḳhud ko
kaun se pal mujhe tasḳhīr kiyā jā.egā
merī āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb adhūre haiñ abhī
kyā mukammal inheñ tābīr kiyā jā.egā
mujh ko bekār meñ hairat ne pakaḌ rakkhā hai
shahr to dasht meñ tāmīr kiyā jā.egā
tū ne dekhā na kahīñ mujh ko nazar aayā hai
aisā manzar jise tasvīr kiyā jā.egā
zaKHm is zaKHm pe tahrir kiya jaega
kya dobara mujhe dil-gir kiya jaega
us ki aankhon mein khaDa dekh raha hun KHud ko
kaun se pal mujhe tasKHir kiya jaega
meri aankhon mein kai KHwab adhure hain abhi
kya mukammal inhen tabir kiya jaega
mujh ko bekar mein hairat ne pakaD rakkha hai
shahr to dasht mein tamir kiya jaega
tu ne dekha na kahin mujh ko nazar aaya hai
aisa manzar jise taswir kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.