zaKHm jab guftugu nahin karta
zaḳhm jab guftugū nahīñ kartā
chārāgar bhī rafū nahīñ kartā
shahr-e-ulfat kā vo munāfiq hai
baat jo rū-ba-rū nahīñ kartā
bāt-be-bāt muskurātā huuñ
ġham ko maiñ surḳh-rū nahīñ kartā
huuk andar se uTh rahī hai miyāñ
maiñ dikhāne ko hū nahīñ kartā
zabt kī āḳhirī nishānī hai
maiñ agar hāo-hū nahīñ kartā
Thiik hai dekh-bhāl kartā hai
zaḳhm lekin rafū nahīñ kartā
apne tā.īñ vo ḳhuub likhtā hai
lafz kī aabrū nahīñ kartā
ai mire pārsā batā mujh ko
maiñ jo kartā huuñ tū nahīñ kartā
jo udāsī kā peḌ hai 'shāhid'
sabz-rut meñ numū nahīñ kartā
zaKHm jab guftugu nahin karta
chaaragar bhi rafu nahin karta
shahr-e-ulfat ka wo munafiq hai
baat jo ru-ba-ru nahin karta
baat-be-baat muskuraata hun
gham ko main surKH-ru nahin karta
huk andar se uTh rahi hai miyan
main dikhane ko hu nahin karta
zabt ki aaKHiri nishani hai
main agar hao-hu nahin karta
Thik hai dekh-bhaal karta hai
zaKHm lekin rafu nahin karta
apne tain wo KHub likhta hai
lafz ki aabru nahin karta
ai mere parsa bata mujh ko
main jo karta hun tu nahin karta
jo udasi ka peD hai 'shahid'
sabz-rut mein numu nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.