zaKHm ka indimal hote hue
zaḳhm kā indimāl hote hue
maiñ ne dekhā kamāl hote hue
hijr kī dhuup kyuuñ nahīñ Dhaltī
jashn-e-shām-e-visāl hote hue
de ga.ī mustaqil ḳhalish dil ko
aarzū pā.emāl hote hue
log jiite haiñ jiinā chāhte haiñ
zindagānī vabāl hote hue
kis qadar iḳhtilāf kartā hai
vo mirā ham-ḳhayāl hote hue
pa-e-ilzām aa rukīñ mujh par
saarī āñkheñ savāl hote hue
aaj bhī log ishq karte haiñ
sāmne kī misāl hote hue
ḳhud se hañs kar na mil sake 'ahmad'
ḳhush-suḳhan ḳhush-ḳhisāl hote hue
zaKHm ka indimal hote hue
main ne dekha kamal hote hue
hijr ki dhup kyun nahin Dhalti
jashn-e-sham-e-visal hote hue
de gai mustaqil KHalish dil ko
aarzu paemal hote hue
log jite hain jina chahte hain
zindagani wabaal hote hue
kis qadar iKHtilaf karta hai
wo mera ham-KHayal hote hue
pa-e-ilzam aa rukin mujh par
sari aankhen sawal hote hue
aaj bhi log ishq karte hain
samne ki misal hote hue
KHud se hans kar na mil sake 'ahmad'
KHush-suKHan KHush-KHisal hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.