zaKHm ka marham dard ka apne darman bech ke aae hain
zaḳhm kā marham dard kā apne darmāñ bech ke aa.e haiñ
ham lamhoñ kā saudā kar ke sadiyāñ bech ke aa.e haiñ
bikne par jab aa hī ga.e the ūñche mol to bikte ham
ham ko hamāre rahbar lekin arzāñ bech ke aa.e haiñ
meñh kyuuñ barse ḳhushk zamīñ par kaise ho maqbūl-e-duā
jab ḳhud bārish māñgne vaale nadiyāñ bech ke aa.e haiñ
bhuuk kī ye shiddat bhī āḳhir kyā se kyā kar detī hai
majbūran kal bachchoñ kī ham guḌiyāñ bech ke aa.e haiñ
zaKHm ka marham dard ka apne darman bech ke aae hain
hum lamhon ka sauda kar ke sadiyan bech ke aae hain
bikne par jab aa hi gae the unche mol to bikte hum
hum ko hamare rahbar lekin arzan bech ke aae hain
meinh kyun barse KHushk zamin par kaise ho maqbul-e-dua
jab KHud barish mangne wale nadiyan bech ke aae hain
bhuk ki ye shiddat bhi aaKHir kya se kya kar deti hai
majburan kal bachchon ki hum guDiyan bech ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.