zaKHm kha kar bhi muskurana hai
zaḳhm khā kar bhī muskurānā hai
dost dushman ko āzmānā hai
vo kahāñ aur iltifāt kahāñ
dil dukhāne kā ik bahāna hai
jāntā huuñ haqīqat-e-hastī
jaan kar bhī fareb khānā hai
DhūñDhtī phir rahī hai barq-e-sitam
chand tinkoñ kā āshiyāna hai
fikr-e-duniyā meñ ghul rahe haiñ log
chaar din kā ye āb-o-dāna hai
kuchh nahīñ sair-e-mai-kada se ġharaz
ziist karne kā ik bahāna hai
ġham se 'ahmad' najāt kyoñ kar ho
is se rishta bahut purānā hai
zaKHm kha kar bhi muskurana hai
dost dushman ko aazmana hai
wo kahan aur iltifat kahan
dil dukhane ka ek bahana hai
jaanta hun haqiqat-e-hasti
jaan kar bhi fareb khana hai
DhunDhti phir rahi hai barq-e-sitam
chand tinkon ka aashiyana hai
fikr-e-duniya mein ghul rahe hain log
chaar din ka ye aab-o-dana hai
kuchh nahin sair-e-mai-kada se gharaz
zist karne ka ek bahana hai
gham se 'ahmad' najat kyon kar ho
is se rishta bahut purana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.