zaKHm khane ke liye ashk bahane ke liye
zaḳhm khāne ke liye ashk bahāne ke liye
ham haiñ duniyā meñ faqat ranj uThāne ke liye
vaa.e qismat ki hameñ koī bahāna na milā
us parī-vash se rah-o-rasm baḌhāne ke liye
aisī be-nazm hai tahrīr-e-hayāt-e-fānī
koī dhun hī nahīñ bantī ise gaane ke liye
ham ne ḳhud ḳhuun kiyā apnī tamannāoñ kā
apne ash.ār ko ġhamnāk banāne ke liye
juz ḳhajālat hameñ kyā ajr milā hai 'kāshif'
ham ne kyoñ apnī anā vaarī zamāne ke liye
zaKHm khane ke liye ashk bahane ke liye
hum hain duniya mein faqat ranj uThane ke liye
wae qismat ki hamein koi bahana na mila
us pari-wash se rah-o-rasm baDhane ke liye
aisi be-nazm hai tahrir-e-hayat-e-fani
koi dhun hi nahin banti ise gane ke liye
hum ne KHud KHun kiya apni tamannaon ka
apne ashaar ko ghamnak banane ke liye
juz KHajalat hamein kya ajr mila hai 'kashif'
hum ne kyon apni ana wari zamane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.