zaKHm khulte hain to ek dard-e-nihan khinchta hai
zaḳhm khulte haiñ to ik dard-e-nihāñ khīñchtā hai
aisā lagtā hai koī jism se jaañ khīñchtā hai
hañste chehroñ se ayaañ hote haiñ ġham ke manzar
mere jaisī koī tasvīr kahāñ khīñchtā hai
jiinā chāhūñ bhī to jiine nahīñ detī duniyā
marnā chāhūñ to mujhe saarā jahāñ khīñchtā hai
jhuuT kahtā huuñ to kartā hai pazīrā.ī mirī
sach batātā huuñ to vo shaḳhs zabāñ khīñchtā hai
pahle maiñ khīñchtā rahtā thā dhuāñ cigarette kā
aur ab mujh ko ye cigarette kā dhuāñ khīñchtā hai
is tarah chaltā chalā jaatā huuñ us kī jānib
jaise pyāse kisī insāñ ko kuaañ khīñchtā hai
zaKHm khulte hain to ek dard-e-nihan khinchta hai
aisa lagta hai koi jism se jaan khinchta hai
hanste chehron se ayan hote hain gham ke manzar
mere jaisi koi taswir kahan khinchta hai
jina chahun bhi to jine nahin deti duniya
marna chahun to mujhe sara jahan khinchta hai
jhuT kahta hun to karta hai pazirai meri
sach batata hun to wo shaKHs zaban khinchta hai
pahle main khinchta rahta tha dhuan cigarette ka
aur ab mujh ko ye cigarette ka dhuan khinchta hai
is tarah chalta chala jata hun us ki jaanib
jaise pyase kisi insan ko kuan khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.