zaKHm ko phul banane ka hunar jaante hain
zaḳhm ko phuul banāne kā hunar jānte haiñ
ham bhī fankār haiñ ye ahl-e-nazar jānte haiñ
ham ki ġhāfil nahīñ ahvāl se tere jānāñ
nok-e-mizhgāñ pe hai kyoñ sho’la-e-tar jānte haiñ
ek hī pal meñ badal detā hai chehre kā nizām
mausam-e-ġham hai baḌā zūd-asar jānte haiñ
merī hassās tabī'at hai bahut hī hassās
merī fitrat ko mire dīda-e-tar jānte haiñ
ab to manzil pe pahuñchne kā bhī imkān nahīñ
chand sāñseñ haiñ faqat zād-e-safar jānte haiñ
kyoñ mire ġham meñ nahīñ hote vo shāmil ki 'ḳhatīb'
mere ġham ko mire ahbāb agar jānte haiñ
zaKHm ko phul banane ka hunar jaante hain
hum bhi fankar hain ye ahl-e-nazar jaante hain
hum ki ghafil nahin ahwal se tere jaanan
nok-e-mizhgan pe hai kyon sho’la-e-tar jaante hain
ek hi pal mein badal deta hai chehre ka nizam
mausam-e-gham hai baDa zud-asar jaante hain
meri hassas tabi'at hai bahut hi hassas
meri fitrat ko mere dida-e-tar jaante hain
ab to manzil pe pahunchne ka bhi imkan nahin
chand sansen hain faqat zad-e-safar jaante hain
kyon mere gham mein nahin hote wo shamil ki 'KHatib'
mere gham ko mere ahbab agar jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.