zaKHm par phunk bhi dawa jaisi
zaḳhm par phūñk bhī davā jaisī
maañ kī har baat hai duā jaisī
muddatoñ se safar meñ huuñ phir bhī
intihā kyoñ hai ibtidā jaisī
chhoTī duniyā kī ye baḌī ḳhabreñ
tez raftār haiñ havā jaisī
merī hamrāh ban ke chaltī haiñ
mushkileñ to haiñ dilrubā jaisī
jab bhī bhaTkā tirā ḳhayāl aayā
terī yādeñ haiñ naqsh-e-pā jaisī
un kī ye mehrbāniyāñ ham par
dhuup ke shahr meñ ghaTā jaisī
ajnabī shahr ne diye 'sābir'
din kaḌā raat karbalā jaisī
zaKHm par phunk bhi dawa jaisi
man ki har baat hai dua jaisi
muddaton se safar mein hun phir bhi
intiha kyon hai ibtida jaisi
chhoTi duniya ki ye baDi KHabren
tez raftar hain hawa jaisi
meri hamrah ban ke chalti hain
mushkilen to hain dilruba jaisi
jab bhi bhaTka tera KHayal aaya
teri yaaden hain naqsh-e-pa jaisi
un ki ye mehrbaniyan hum par
dhup ke shahr mein ghaTa jaisi
ajnabi shahr ne diye 'sabir'
din kaDa raat karbala jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.