zaKHm par zaKHm muhibban-e-sitam dete gae
zaḳhm par zaḳhm muhibbān-e-sitam dete ga.e
tah-ba-tah jam ga.e ġham phir bhī vo ġham dete ga.e
ham unheñ kashf kī sūrat nazar aa.e har vaqt
vo magar ham ko faqat ḳhvāb-e-adam dete ga.e
gul the maqsūd hamārā thā samar ho jaanā
toḌ kar shāḳh se kyoñ ranj-o-alam dete ga.e
ahl-e-bātil kī ye sāzish thī ki maflūj ho fikr
naam le le ke haqīqat kā bharam dete ga.e
ahl-e-quvvat ke ishāroñ pe qalam chaltā gayā
vo 'evaz meñ use ik ḳhaas raqam dete ga.e
lagtā hai ruk sī ga.ī valiyoñ kī afzā.ish-e-nasl
aur shaitānoñ ko shaitān janam dete ga.e
Thahre mahbūb unheñ Thagne kā haq thā 'jāved'
hukm dete rahe jis chiiz kā ham dete ga.e
zaKHm par zaKHm muhibban-e-sitam dete gae
tah-ba-tah jam gae gham phir bhi wo gham dete gae
hum unhen kashf ki surat nazar aae har waqt
wo magar hum ko faqat KHwab-e-adam dete gae
gul the maqsud hamara tha samar ho jaana
toD kar shaKH se kyon ranj-o-alam dete gae
ahl-e-baatil ki ye sazish thi ki mafluj ho fikr
nam le le ke haqiqat ka bharam dete gae
ahl-e-quwwat ke ishaaron pe qalam chalta gaya
wo 'ewaz mein use ek KHas raqam dete gae
lagta hai ruk si gai waliyon ki afzaish-e-nasl
aur shaitanon ko shaitan janam dete gae
Thahre mahbub unhen Thagne ka haq tha 'jawed'
hukm dete rahe jis chiz ka hum dete gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.