zaKHm se KHauf hamein misl-e-guhar kuchh bhi nahin
zaKHm se KHauf hamein misl-e-guhar kuchh bhi nahin
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
zaḳhm se ḳhauf hameñ misl-e-guhar kuchh bhī nahīñ
ḳhvāhish-e-chāra-e-nāsūr-e-jigar kuchh bhī nahīñ
itnī muddat se nikālā hai ki mānind-e-adam
koī pūchhe to mujhe yaad vo ghar kuchh bhī nahīñ
diye is hasti-e-mauhūm ne kyā kyā dhoke
go ki zāhir meñ ye sab kuchh hai magar kuchh bhī nahīñ
sarf kī umr abas shaġhl-e-duā meñ ham ne
ki samajhte the koī shai hai asar kuchh bhī nahīñ
kiije kushta mujhe kaam ā.ūñgā misl-e-sīmāb
aap kā fā.eda hai is meñ zarar kuchh bhī nahīñ
sub.h-e-pīrī huī aur kuuch kā vaqt aa pahuñchā
haif hai paas mire zād-e-safar kuchh bhī nahīñ
bahr-e-rahmat pe ḳhudā ke nahīñ zāhid ko nazar
sāmne us ke mirā dāman-e-tar kuchh bhī nahīñ
kyoñ mirī qatl pe bāñdhā ise kholo sāhab
maiñ gunahgār huuñ aur jurm-e-kamar kuchh bhī nahīñ
bad-gumānī ne yahāñ vahm lagā.e kyā kyā
vaañ satāne ke sivā madd-e-nazar kuchh bhī nahīñ
hai shab-e-vasl mai-e-vasl piyo tum be-ḳhauf
aañkh kyoñ aap kī hai jānib-e-dar kuchh bhī nahīñ
dirham-e-dāġh bhī gardūñ ne diye par 'sābir'
is meñ hotī mirī auqāt basar kuchh bhī nahīñ
zaKHm se KHauf hamein misl-e-guhar kuchh bhi nahin
KHwahish-e-chaara-e-nasur-e-jigar kuchh bhi nahin
itni muddat se nikala hai ki manind-e-adam
koi puchhe to mujhe yaad wo ghar kuchh bhi nahin
diye is hasti-e-mauhum ne kya kya dhoke
go ki zahir mein ye sab kuchh hai magar kuchh bhi nahin
sarf ki umr abas shaghl-e-dua mein hum ne
ki samajhte the koi shai hai asar kuchh bhi nahin
kije kushta mujhe kaam aaunga misl-e-simab
aap ka faeda hai is mein zarar kuchh bhi nahin
subh-e-piri hui aur kuch ka waqt aa pahuncha
haif hai pas mere zad-e-safar kuchh bhi nahin
bahr-e-rahmat pe KHuda ke nahin zahid ko nazar
samne us ke mera daman-e-tar kuchh bhi nahin
kyon meri qatl pe bandha ise kholo sahab
main gunahgar hun aur jurm-e-kamar kuchh bhi nahin
bad-gumani ne yahan wahm lagae kya kya
wan satane ke siwa madd-e-nazar kuchh bhi nahin
hai shab-e-wasl mai-e-wasl piyo tum be-KHauf
aankh kyon aap ki hai jaanib-e-dar kuchh bhi nahin
dirham-e-dagh bhi gardun ne diye par 'sabir'
is mein hoti meri auqat basar kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.