zaKHm se riste lahu ko surKH pani kar gaya
zaḳhm se riste lahū ko surḳh paanī kar gayā
jab bhī vo aayā haqīqat ko kahānī kar gayā
āsmāñ se ik samundar kī tarah utrā thā vo
vaqf har sahrā-nashīñ ke zindagānī kar gayā
maiñ tumhārā aa.ina huuñ aks apnā dekh lo
ḳhatm is jumle pe saarī lan-tarānī kar gayā
chāñd ke ujle badan par ek kaalā sā nishān
zindagī ke roz-o-shab kī tarjumānī kar gayā
us ke andāz-e-takallum meñ ye kaisā soz thā
pattharoñ ke jism ko bhī paanī paanī kar gayā
maslahat jaane use yā samjheñ insānī huqūq
ik sitamgar be-tavaqqo mehrbānī kar gayā
'shahzar' apne jism par kambal lapeTe ik faqīr
saarī duniyā par sunā hai hukmrānī kar gayā
zaKHm se riste lahu ko surKH pani kar gaya
jab bhi wo aaya haqiqat ko kahani kar gaya
aasman se ek samundar ki tarah utra tha wo
waqf har sahra-nashin ke zindagani kar gaya
main tumhaara aaina hun aks apna dekh lo
KHatm is jumle pe sari lan-tarani kar gaya
chand ke ujle badan par ek kala sa nishan
zindagi ke roz-o-shab ki tarjumani kar gaya
us ke andaz-e-takallum mein ye kaisa soz tha
pattharon ke jism ko bhi pani pani kar gaya
maslahat jaane use ya samjhen insani huquq
ek sitamgar be-tawaqqo mehrbani kar gaya
'shahzar' apne jism par kambal lapeTe ek faqir
sari duniya par suna hai hukmrani kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.