zaKHm shiddat mein muskura rahe the
zaḳhm shiddat meñ muskurā rahe the
hazrat-e-mīr yaad aa rahe the
ye vo pāgal hai jis kā zikr kiyā
vo ta.āruf mirā karā rahe the
kis qadar shoḳh un kā lahja thā
ham to bas dekhte hī jā rahe the
kyā koī zaḳhm-e-dil pe khā baiThe
tum jo ġhālib ko gungunā rahe the
ham to dahlīz se hī lauT aa.e
vo bhī mahfil se uTh ke jā rahe the
kar ke tanqīd mere lahje pe
kam-suḳhan martaba baḌhā rahe the
zaKHm shiddat mein muskura rahe the
hazrat-e-mir yaad aa rahe the
ye wo pagal hai jis ka zikr kiya
wo taaruf mera kara rahe the
kis qadar shoKH un ka lahja tha
hum to bas dekhte hi ja rahe the
kya koi zaKHm-e-dil pe kha baiThe
tum jo ghaalib ko gunguna rahe the
hum to dahliz se hi lauT aae
wo bhi mahfil se uTh ke ja rahe the
kar ke tanqid mere lahje pe
kam-suKHan martaba baDha rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.