zaKHm to bhar chuka hai muddat se
zaḳhm to bhar chukā hai muddat se
dard ab zaḳhm ke nishān meñ hai
ek do din to mujh ko jhelegā
itnī himmat to mezbān meñ hai
jī meñ aatā hai naukrī kar luuñ
ab ḳhasārā bahut dukān meñ hai
abr aa kar Thahar gayā us par
ab shajar ḳhud bhī sā.ebān meñ hai
jaane kis shāḳh par baserā ho
ik parinda abhī uḌaan meñ hai
zaKHm to bhar chuka hai muddat se
dard ab zaKHm ke nishan mein hai
ek do din to mujh ko jhelega
itni himmat to mezban mein hai
ji mein aata hai naukri kar lun
ab KHasara bahut dukan mein hai
abr aa kar Thahar gaya us par
ab shajar KHud bhi saeban mein hai
jaane kis shaKH par basera ho
ek parinda abhi uDan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.