zaKHm tumhaare bhar jaenge thoDi der lagegi
zaḳhm tumhāre bhar jā.eñge thoḌī der lagegī
be-sabrī se kaam liyā to aur bhī der lagegī
sāhab aaj to apnā kaam karā ke jā.eñge ham
saarī sharteñ puurī haiñ phir kaisī der lagegī
yuuñ behāl na ho ai dil bas aate hī hoñge vo
kal bhī der lagī thī un ko aaj bhī der lagegī
siikh liyā hai maiñ ne apne aap se bāteñ karnā
fikr nahīñ un ko aane meñ kitnī der lagegī
kaun ruke ab us ke dar par shaam huī ghar jaa.eñ
itnā zarūrī kaam nahīñ hai jitnī der lagegī
itnī der meñ kuchh ke kuchh ho jā.eñge hālāt
ḳhat likhne se ḳhat milne tak jitnī der lagegī
mār-gazīda kaun bachā hai 'bāsir' shukr karo tum
Thiik bhī ho jāoge lekin ḳhāsī der lagegī
zaKHm tumhaare bhar jaenge thoDi der lagegi
be-sabri se kaam liya to aur bhi der lagegi
sahab aaj to apna kaam kara ke jaenge hum
sari sharten puri hain phir kaisi der lagegi
yun behaal na ho ai dil bas aate hi honge wo
kal bhi der lagi thi un ko aaj bhi der lagegi
sikh liya hai main ne apne aap se baaten karna
fikr nahin un ko aane mein kitni der lagegi
kaun ruke ab us ke dar par sham hui ghar jaen
itna zaruri kaam nahin hai jitni der lagegi
itni der mein kuchh ke kuchh ho jaenge haalat
KHat likhne se KHat milne tak jitni der lagegi
mar-gazida kaun bacha hai 'basir' shukr karo tum
Thik bhi ho jaoge lekin KHasi der lagegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.