zaKHmi honTon ko phir hansa lena
zaḳhmī hoñToñ ko phir hañsā lenā
dard dhaḌkan meñ hī chhupā lenā
jin kī yādoñ se tum mahakte ho
aise ḳhvāboñ ko phir jagā lenā
har musībat se ye bachātī hai
maañ kī har roz tum duā lenā
tanhā rāhoñ se jab guzarnā ho
dost rastoñ ko hī banā lenā
terī yādoñ kī shaam hai ab to
bhuul na jā.ūñ tum bulā lenā
soch kar us kī tishnagī 'dilbar'
ashk palkoñ pe tum sajā lenā
zaKHmi honTon ko phir hansa lena
dard dhaDkan mein hi chhupa lena
jin ki yaadon se tum mahakte ho
aise KHwabon ko phir jaga lena
har musibat se ye bachati hai
man ki har roz tum dua lena
tanha rahon se jab guzarna ho
dost raston ko hi bana lena
teri yaadon ki sham hai ab to
bhul na jaun tum bula lena
soch kar us ki tishnagi 'dilbar'
ashk palkon pe tum saja lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.