Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHmon ki aur chhaalon ki bhi anjuman rahe

Sayeed Ahsan

zaKHmon ki aur chhaalon ki bhi anjuman rahe

Sayeed Ahsan

MORE BYSayeed Ahsan

    zaḳhmoñ aur chhāloñ bhī anjuman rahe

    talvoñ meñ nok-e-ḳhār-e-safar chubhan rahe

    ye kyā huā ki chaar qadam chal ke mil ga.ī

    manzil mile to paañv meñ kuchh to thakan rahe

    dushman koī tiir na aaya hamārī samt

    jab tak saroñ se bāñdhe hue ham kafan rahe

    zindoñ ke jism ke liye rakh do na.e libās

    mere badan pe koī purānā kafan rahe

    nikle jo tiir jism se mahsūs na ho

    banda ḳhudā ke sāmne aisā magan rahe

    maz.hab pe harf aa.e to lāzim hai ehtijāj

    lekin is ehtijāj meñ shā.ista-pan rahe

    īmāñ pe baat aa.ī to sochā nahīñ kabhī

    tan se judā ho sar ki ye baaqī badan rahe

    duniyā-e-nā-tarāsh ko is se ġharaz nahīñ

    dāman pe koī daaġh lage shikan rahe

    TukḌoñ meñ aur firqoñ meñ baTne lagā vatan

    kis ko pata hai kal ko ye kaisā vatan rahe

    sho.arā-o-sāma.īn bhī bazm-e-sher meñ

    'ahsan' ye aarzū hai koī gul-badan rahe

    zaKHmon ki aur chhaalon ki bhi anjuman rahe

    talwon mein nok-e-KHar-e-safar ki chubhan rahe

    ye kya hua ki chaar qadam chal ke mil gai

    manzil mile to panw mein kuchh to thakan rahe

    dushman ka koi tir na aaya hamari samt

    jab tak saron se bandhe hue hum kafan rahe

    zindon ke jism ke liye rakh do nae libas

    mere badan pe koi purana kafan rahe

    nikle jo tir jism se mahsus hi na ho

    banda KHuda ke samne aisa magan rahe

    mazhab pe harf aae to lazim hai ehtijaj

    lekin is ehtijaj mein shaista-pan rahe

    iman pe baat aai to socha nahin kabhi

    tan se juda ho sar ki ye baqi badan rahe

    duniya-e-na-tarash ko is se gharaz nahin

    daman pe koi dagh lage ya shikan rahe

    TukDon mein aur firqon mein baTne laga watan

    kis ko pata hai kal ko ye kaisa watan rahe

    shoara-o-samain ki bhi bazm-e-sher mein

    'ahsan' ye aarzu hai koi gul-badan rahe

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now